Thursday, 19 September 2013

Dil Ki Aawaaz

aaj ye dil keheta hai, 
tu ab laut chal
guzarti nahin hai, 

meri koi bhi pal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, 


tu ab laut chal
woh manzil yahaan nahin milegi
jise tujhe talash hai
woh manzar yahaan nahin dikhega
jo tere dil ke aas paas hai


milta nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, 

tu ab laut chal

waise log yahaan nahin hai
jinko dhund raha hai tu
yahaan log waise nahin hai
jinse jud raha hai tu
na banega yahaan mere sapno ka mahal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal

2 comments: