Saturday, 31 August 2013

koi to hai...!!!!

Dil ki dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai

Kaun hai woh, jo swaalon mein mere rehta hai

Jis ko dekha na khwaab us se wafa karti hoon

Dil ke aaine mein main us se mila karti hoon

Main nahin jaanti yeh kis ki talab hai mujh ko

Kis ka armaan iraadon mein mere rehta hai

Khwaab hai woh mera, taabeer dilaaon kaise

Apni hasrat ko main, taqdeer banaaon kaise

Mujh ko milta hai sakoon, us ka tasavur kar ke

Woh ishara, jo isharon mein mere rehta hai

Kis ki tareef mein likhi yeh ghazal kya janu

Kis ko kehti hoon mohabbat ka kanwal kya janu

Main tau bas aik hi umeed mein rehti hoon sadaa

Us ko dekhoon jo nazron mein meri rehta hai.

aaina..!!!!!

Sab se chupa kar dard ,jo woh muskura diya…


us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….


lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…


chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…


aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…


or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…


jane kya us ko logon sey thein shikayatein…


tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…


khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….


mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…