Tuesday, 11 June 2013

For Some One Special :) :)

Baithe Baithe yunhi achanak
kahin main khone lagti hoon..


Khud hi se khafa khafa si main hone lagti
hon..Sochti hoon jab bhi uske dard-o-ghum ka aalam..


Ho ke beikhtiyaar palkein main bhigone lagti
hon..Ek uska naam, uski yaad usi ka tassawur rehta hai aas

paas..

Jab bhi ankehin kholti hon subho, Raat jab bhi main
sone lagti hoon..Woh ek baar Usne ne kaha tha, Main ab thak gya hoon..


Aaj bhi us lehje ki thakan karke mehsoos,bechain
si main hone lagti hoon..Duaon pe apni mujhe bharosa bouhat hai sadiyon se...


Ek yehi bharm dil mein liye,khwaab uske main
sanjhone lagti hoon..Ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai..


Dekh kar duniya ke haath mein pathar, khauf-zada
si main hone lagti hon.Dard chupata hai jab woh, dil se nahin faqt labon se
muskurata

hai jab wo..

Jaane kaun se ehsaas se main tadap jaati
hoon,bebasi mein main rone lagti

hoon..Baithe baithe yunhi achanak kahin main khone
lagti hoon..


Khud hi se khafa khafa si main hone lagti hoon..

2 comments:

  1. Nice Poem Bhumika...
    Please Post some more.. :-)

    ReplyDelete
  2. Wahhh kya bat hai re bhumika tu ye sab bhi krne lagi hai.............
    Mast hai lgi reh............:-)

    ReplyDelete